Fruit Custard Recipe in Roman English/Urdu
Fruit custard sehat aur swad donon ke nazariye se behatar hota hai. Sath hi ye aasani se ban bhi jata hai. To lijiye note kariye Fruit Custard Recipe. Hamen yakeen hai ye recipe aapko pasand ayegi.
( Urdu Recipe - HINDI RECIPE - English Recipes )
Dudh (Milk) - 01 liter (full cream),
Cream - 200 gram,
Shakkar (Sugar) - 150 gram,
Vanilla custard powder - 50 gram.
Seb (Apple) - 01 adad,
Anar (Pomegranate) - 01 adad,
Aam (Mango) - 01 adad,
Angur (Graps) - 250 gram.
Fruit Custard Banane ki Recipe:
Fruit custard banane ke liye ek cup men dudh nikal kar baki bache dudh ko bhagone men daal kar ubal len.
Jab tak dudh ubal raha hai, thande wale dudh men custard powder dalkar achchhi tarah se ghol len. Dhyan den ki dudh men guthliyan na paden.
Jab tak dudh ubal raha hai, thande wale dudh men custard powder dalkar achchhi tarah se ghol len. Dhyan den ki dudh men guthliyan na paden.
Jab gais par chadhe dudh men ek ubal aa jaye, custard ghule dudh bhi usmen daal den. Saath hi shakkar ko bhi dudh men daal den aur chalate 10 minute tak pakayen, jisse dudh gaadha ho jaye.
Dudh gadha hone par gais ko band kar den aur dudh ko thnda hone den. Jab tak dudh thanda ho raha hai, sare falon ko dhulkar unke chhote-chhote peace kar len. Sath hi Aaar ke dane nikal len aur angur ke danthal tod kar alag kar den aur cream ko thoda sa math len.
Jab dudh puri tarah se thnda ho jaye, usmen cream aur kate hue fal daal den aur use milakar 2 ghante ke liye fridge men rakh den.
Ab aapka Fruit Custard taiyar hai. Thanda hone par custard ko nikalen aur bowl men nikal kar serve karen. Ise aap nashte ke roop men, khane ke baad ya meethe ke rup men bhi use kar sakte hain.
Note:-
Custard banane ke liye aap apni pasand ke fruits upar batayi gayi tadat men daal sakte hain. Lekin custard ke liye kabhie bhi Tarbuz (Watermelon) ka istemal na karen. Kyonki tarbuz ghulne par pani ki tarah ho jata hai, jisse custard ka taste bigad jata hai.
keywords:
Fruit Custard in Roman English, How to Make Fruit Custard?, Ingredients for Mixed Fruit Custard in Roman English, Fruit custard recipe in Roman English, Indian fruit custard in Roman English, Fruit custard pudding recipe in Roman English, Fruit custard Indian recipe in Roman English, Fruit custard recipe Indian style in Roman English, Custard powder recipes in Roman English, Fruit Custard Vegetarian Recipe in Roman English, Vanilla custard recipe in Roman English, Fruit custard recipe in Roman Urdu, Custard powder recipes in Roman Urdu, Vanilla custard recipe in Roman Urdu,
COMMENTS